Hmari property par neibour kabja karna chahte hai
Dear sir/Madam
1, Hum ne ek makan 2009 me kharid kiya hai meri mata G ke nam se hai...Os waqt mere pita G ne khrid kiya tha but unka swargwas ho chuka hai...
2. Is makan me ek Toilet hai Jo Makan ke andar ki Taraf hai or jo ki year 1981 se bni hui hai 30 saal se uper ka time ho chuka ha...Muncipal corporation se Naksha pass (Approved) hai....lekin neigbour ne 2010 me jab humne makan shift kiya tha to Unhone 10-12 gunde lakar hmare Makan ke under ghuskar Torr forr kar di thi...but police me jan pehchan hone ke karn un par sirf 107/151 ki karwai hui thi.
3. Ab pichle kuch sme se wo jan bhujkar ghar ki chat terris par Gandgi kuda karkat fenk rhe hai....mna krne par Bolte hai jo karna kar lo hme ye jga chahiye....unke pass is jga ka koi bhi paper bus gunda grdi...hai
4.humne is ke liye police complaint bhi kari lekin police fir se wohi dobara hum dono parties par 107/151 ki karwai karne ko bol rhi hai...jisse samne wali party ke khilaf koi sakhat karwai na hui....
4. neibour ka kehna hai ki ye toilet Govt. Jga par bni hai aur Lekin Muncipal corporation ne nakshe ko approval di hui...1981 ke time se wo naksha bhi hmare pass hai
5. Humne makan Naksha map ko dekh kar hi liya hai....
6. Humse pehle jo bhi is makan rehte the unhe in logo ne mar peet dra dhamkate the...wo to inse tang preshan ho kar majboor ho kar chpd kar chle gye....
7.ab police bhi kujh stick action in par nahi leti bolti hai k agr ladai me kisi ko chot na lge ya jakhmi na ho to hum 107/151 ki karwai krenge...jis se hum santushat nahi hai....
8. Ab Hum Kya kre ki Court in par sakhat action le....plz sir help me Ghar me main aur mom hi hai.....Koi bhai behan aur father bhi nahi hai.....kya kre plz sir