Fraud n cheating shaadi. com
Sir, (I m a army personnel) I got court married to a divorcee at nainital ( place where her father was employed in teaching profession n living on rent) in the?month of sep 13. ?She was divorcee that was known to me and reflected on matrimonial site. I was ready to marry if divorce legally completed. She and her father told me that it is completed legally.we interacted on telephone n chatting for over a month n she invited me to meet in nainital. Her father encourage us to get court marriage. Now in hindi - mandir mai uske father ne hamari marriage karvayi fir uske father ne kisi advocate ke sath milkar mujhse papers par sign karvaye n marriage registration kra liya. Us time maine documents dhyan se nhi dekhe ki vo ladki ka marital status never married show kar rhe hai... Witness mai uske father n brother ne sign kar diye... Uske baad uske father ne mere father ko ye kahkar social marriage ke liye agree kar liya ki ab to court marriage ho gyi aap bachcho ke future ke liye social marriage v kar do... Mere parents maan gye.. Fir 18 Nov 2013 ko social marriage v ho gyi... Shadi ke turant baad ladki pagal ki tarah behave karne lgi... Ladai jhagda karti.. Suicide attempt karti... Jab uske father se baat ki to usne kaha usko mentally problem hai doctor ko dikha lo... On 10 Jan 2014 uska father ladki ke previous treatment ke documents n notary ka divorce lekar aaya... Or mere parents ko dhamki dekar gya ki dowry n fake cases mai fansa dekha ...or ladki ko le gya.... Iske baad mai marriage registration office nainital se marriage registration ke document ki copy nikalvayi to pta chala vha par use never married show kiya hai n divorce ka koi document nhi lagaya... Uske baad maine 26 jun 2014 ko HMA section 11/12 mai ye shaadi null n void ke liye family court nainital mai case file kiya n 156 (3) mai uske father par fraud n cheating karke shadi registered karne ka case file kiya... Ladki ne 09.09.2014 ko section 24 ka case file kiya... Hearings hoti rhi uskka WS nhi aaya balki 16.05.15 ko family court ne mujhe 3000 per month maintainance n 5000 court ke kharche dene ka order kiya... Maine 07.09.15 ko usi court mai uski previous marriage ke kuch documentary evidence ke sath review liya jo abhi tak file mai lga hua hai.. maine 02.15.16 ko 7000 court mai deposite kar diye taki uska WS aaye but Aaj tak ladki ka WS nhi aaya jjabki judge last hearing par kah rha tha baki ka amount bhi depoosite kro.... Last week ladki ka notice aaya ki mai apne parents ke sath uske ghar shamli UP gya jab vo ghar par akeli thi or uske sath marpeet ki... Jabki hum gye hi nhi... Vo dowry n DV case banana chahti hai.... Kya possible hai?????? Uska previous divorce court se nhi hua hai.... 156(3) mai arguement honee wale hai... Uska bhai n father jhooti witness dene mai fasange n ladki 494 mai..... Isse bachne ke liye vo humpar jhoota case banana chahti hai... Taki mere parents ko uske vha aana pde..... ...court mai mera side strong hai... Uska notarized divorce mere pass hai. .army mai aakar v usne apni previous marriage ki details paper par sign karke di hai jise 3 army officers ne as a witness sign kiya hai.... Vo bhi hai mere pass.... Ab mujhe kya step lena chahiye.... How can i Counter her fake 498A