Maintenance and protection from husband and husband family.

Husband koi kharch nahi dete hai mere se distance banakar rakhte hai.. Hum dono alag alag room me rahte hai shuru se...kuch bhi janane nahi dete hai ..jaise unki salary.. Kaha wo aate jate hai.. Bnk balance. Etc Kuch bhi nahi hum jante hai.. Wo sirf chahte hai ki hum unke ma baap unki married behan sab jo ki har waqt aate jaati rahti hai unki sewa karte rahe 24hrs....mere in laws chahte hai ki unka jo manjhla beta aur bahu hai unlogo ke under me hum rahe iske liye wo log mere upar har tarah se dabaw bana rahe hai. Meri ma mere shaadi me 35 lacs dowry dee hai in logo ko uska koi ye log maan nahi rakh rahe hai ulta mere ko kahte hai tere ma ki aukat nahi hai dowry dene ki.. Meri ma zmeen bech kar in logo ka dowry ka demands pura kee hai. Mere ko mera husband jabardasti re hab me bhi bharti karaya hai for 3 months... Mere ko sizophrenic. . Bipolar aur mania ka patient bana diya hai doctor se jhooth bol kar.. Hum logo se rehab centre aur doctor kuch bhi interrogate nahi kiye the... Ye sab sirf mere husband ke bolne par mere ko jabardasti rehab me admit karaya gya tha. Hum 7 yrs tak isse apne liye expense nahi maange the lekin jab meri beti huye tab hum expense maangna shuru kiye to ye mere se bahut bahut jhagarne laga aur paisa zameen par fake kar dene laga..jab bhi hum koi expense maangte hai to ye aise hi jhagarta hai aur saath me mera video recording banata hai... Yaha tak ki apne friends ko ghar par bulakar badtameezi karwata hai. .. Shaadi ke initial days me husband ki manjhli bhabhi ke saath husband ko bahut hi close hote dekhe hai... Mer e samne ye log room me lock ho jate the... Inki manjhli bhabhi blouse aur peticot me hi iske samne aakar khadi ho jati thi... Ye sab roj roj dekhkar decision liye ki hum dusre ghar me rahenge saath me nahi rahenge tab in laws ghar ke hi kuch distance par husband ke govt quarter me hum dono ko waha rahne ko allow kar diye. Lekin yaha par bhi husband ka behaviour meri taraf rude hai aur waise hi distance maintain karke rakhte hai... Mere se maar pitai bhi karta tha to 112 par call kiye the aur police aaye thi... At present bhi husband ka behaviour meri taraf bahut hi rude hai... Expense ke naam par jhagarta hai aur mera hi video recording banata hai. Baat baat me dhamki deta hai ki court se bhi tumko maintenance nahi denge aur tum logo ko barbaad kar denge.. Mere ko koi jail nahi hoyega mere ko koi barbaad nahi kar sakta.. Meri shaadi ko 10yrs hone ja raha hai meri ek 2yrs ki beti hai pls suggest kare kya action le hum..