What are the grounds to file domestic violence case against in laws

I want to know whether I can file domestic violence case against mother in law father in law sister in law and brother in law to make me work like a maid and meri jethanj ko baithake rakhti hai. Usse kuch kaam nai karate and sab kuch usko hi dete hai and uske mann ki karte hai. Usko night dress pehnna allowed hai but mujhe nai and usse ghar kaa koi kaam nai karate and mujhe torture karte rehte hai. Audio recording hai mere pass kuch incidents ki kya wo proof mani jayegi domestic violence ke liye. Meri sab jewellery and shaadi me jo bhi mila tha wo bhi mother in law ne rakha hai and mujhe dikhaya bhi nai and deti bhi nai hai. Meri Abhi delivery hui hai via c section toh mujhe pregnancy ke time 3rd month me hi meri mummy ke yaha bhej diya and and delivery just hui hai toh bula rahi hai kaam karne ke liye. Pregnancy ke time meri Jethani ye bolke ghar Chogle chali gayi thi ki wo kaam nai karegi main hi sab kaam karungi and meri mother in law ne mujhe mere make bhej diya coz unse Mera kaam nai hota. Meri marji kaa kuch nai kar sakti main wo kalesh kar deti hai agar hum ghar se bahar bhi jate hai toh. Pregnancy me kissing mujhe call karke tak nai pucha halchal jabki Jethani ki pregnancy me usko itna pamper kiya hai. Uski delivery ke baad usko bahot kuch diya and mujhe pucha tak nai. Main meri Jethani ke sath nai rehna chahti and humne new house liya hai usme rehne jana chahte hai lekin meri mother in law humko jane nai de rahi hai. Main thak gayi hu and Inke against case file karna chahti hu.