Leave And License Eviction Suit

Mere Father Ne 29 year se Shop Leave and License Se di thi every 5 year Wo proper register Agreement karke use Renew karate The with condition ki Licensee Kabhi Shop par Ownership nahi Dikhayega or Maharashtra rent control Act ka use Nahi karega... Last Agreement mere father ne ki thi 3 years ki uske bad unhone wo property mere nam ki hai gift deed se 7/12 utara mein mera nam add ho chuka hai ab Agreement Expired ho chuka hai. aur Licensee ne agreement expiry ke 2 month pehele khud hoke bola tha ke mai shop chod raha hu uska audio record bhi hai mere pas .agreement expire hote hi usne zagda kiya ke mein shop nahi chodunga isliye maine use notice send kiya uska 15 days mein ans nahi aaya to eviction suit file kiya hai. defendant ne WS mein ye likha hai k wo last 29 years se wahape reh raha hai uska good Will wahape hai aur MSEB connection uske nam se hai to wo ab Licensee se tenant ho chuka hai. Owner use bahar nahi nikal sakte...jab ki muje ab us property ki jarurat hai muje khud business karna hai aur shop ke uper ek residential room hai wahape Family ke sath Rehena hai mere father paralysis ke last stage mein hai isliye licensee uska fayda leke muje bol raha hai ke aapke father ne agreement kiya tha aapka isse kuch connection nahi hai plz suggest me muje meri property vacate kaise milegi aur limitation act 67 under vacate ho jayega kya? Humne Civil district Court mein Case dali hai. Kitne dino ke ander Case ka decision aa sakta hai.? Can licensee use tenant rights in this case?