Mere bhabhi dwara kiraydaro ke room aur mere room par jabardsti kabza aur mansik utpidan
Hum 2 bhai aur 2 behan hai, jisme se sirf meri hi shadi nhi hui hai, mere pita ki mritu 2001 me hui aur unki swa-arjit kamai se li hui jameen unhone ne apni patni yani hamari maa ke naam kari hamari maa ne hamare pita ke mritu ke baad kafi sangharsh karke padhaya aur badi beti , bete aur choti beti ki shadi karwai aur 2017 me unki mritu ho gai, halanki unhone jane se pehle zameen ki wasiyat hum charo bhai behan ke naam kar di thi, phir me aur mera bhai dost ki trah us ghar me apne apne kamre me rehne lage, lekin bhabhi se aay din unka jhagda hota rehta tha,aur bhai ke shadi ke 8 saal me bhabhi ne ghar me kisi bhi sadasy ke prati 1 % bhi jimmedari nhi dikhai, sirf apni, apne pati aur apne 2 bchho ki jimmedari nibhai anya koi jimmedari nhi, phir achanak mere bhai ki road accident me 2024 me mritu ho jati hai, jisse meri bhabhi ko koi farq nhi pda.
ab bhabhi mujhe har mumkin koshish se mansik roop se utpidan de rhi hai , mene tab bhi bhabhi ki har mumkin madad ki, lekin phir bhi vo pure kiray par haq jatane lagi, mene kuch logo ko bula kar sulah karwai aur unke maang ke anusar unhe agle 5 month tak bhai aur mere hisse ka kiraya bh diya, meri job jane ke baad me study krne bahar nikla, meere ghr se nikle huai 2 month ke baad meri bhabhi jis room me rehti thi usme baarish ka paani ghusne lga jiske baad unhone police station me jake mere khilaf jhuti shikayat ki me unhe room me bhra paani nhi nikalne de rha hu, ghar girne wala hai, muhe saamne room chahiye dono kiraydaar ko nikaal kar mujhe vo room dilway, mere dewar mere room me tala lga kar khi chle gai hai,,, etc..
to kya vo baki 3 hissedaro ki marzi ke bina is trah ke jhuti shikayat krke is trah ka illegal act kar sakti he kya ?