Mentally harassment day by day from In law's.
Meri behen ki shaadi 24th May, 2021 ko during lock down mein hui thi... Wo ghar ki bari bahu hain.. mere jiju kolkata NRS mein oncology department mein hain.. Shaadi k khuch din baad hi didi ki mother-in-law ne unhe gande - gande comment karna start kar diya.. uske character per ungli uthai.. roz didi ki mother-in-law kuch na kuch comment ya tana marti taki didi ghusse mein unhe kuch bol de... jab didi ne twins babies ko conceive kiya tab uske brother-in-law ki shaadi taye hui... aur aunty ne wo sab kuch kiya jisse didi ki health aur kharab ho gai.. jisse uske brother-in-law ki shaadi hui November 2023 uska naam Raktima hain.. Wo ek schizophrenic patient hain jiska phycologist treatment chal raha hai aur raktima ki family ne ye baat sabse chupai.. ab aunty uska fayda utha rahi hai.. raktima ko didi k khilaaf uksa or bharka rahi hai... ab raktima bhi didi ko pareshan kar rahi hai. kabhi use dhakka mar rahi hai to kabhi uski chize tor rahi hai.. Koi bhi raktima se kuch nahi kehta. Wo bimari ka Naam lekar Yeh sab kar rahi hai. My sister can't stay in that house... they are determined that wo log didi ko wahan nahi Rehne denge... can you please tell what can we do now? is there any provision in the law which can help us in this?