Bayana receipt is not valid Contract or Agreement
Main ek kisan hoon. Meri kheti 135 gunthe hai. Mai kheti bechana nahi chahata, par ek din ek agent mere pas aaya aur usane bola ki tumhari kheti bechana hai to mere pas customer hai, to maine kaha thik hai.
do din bad wohi agent mere pas aaya aur muze bola ki aapaki kheti bechani hai ye baat samanewali party ko samazane ke liye ek Bayana receipt per sign karo. usame likha tha ki " Mai meri kheti us agent ko Rs. 70000/- per guntha ke bhavse bechunga aur wo agent jise kahega use bechoonga. iske liye Rs. 50000/- bayana amount diya.
Us kagaj per maine sign kiya. us ke bad ek din wo agent mere pas aaya aur bola ke Rs. 100000/- per guntha ke bhav per aapako customer ke sath agreement karana padega. maine kaha thik hai. lekin uske bad bola ki aapako Bayana receipt ke hisabse Rs. 70000/- per guntha ke hisabsehi amount milegi. Is Baat per maine usko bola ki meri kheti muze bechani nahi hai.
Uske bad us agentne newspapers me advertise - Public Notice thi ki meri khethi koi kharid na le. aur muze legal notice bhijwa di. Maine uspe koi dhyan nahi diya. Uske bad usne Trial Court me Dava dakhal kiya. Aur Jit Bhi Gaya.
Ab main High Court Main ja raha Hoon. Is case ko jitane ke liye Madat Kijiye
Thanks