Affidavit of Evidence
Mera ek case hai jo k civil court me under process hai aur ye case 2016 me file kiya gya tha..
jisme ek traf tw me plaintiff tha jab k dusri janib party (defendant) ny bhi ek case mere khilaf file kiya jis me wo plaintiff aur me defendant hun.
hm dono k case judge ne dismiss kr deay aur is k baad mene appeal file krdi.
isi tra mukhalif party ne bhi yhi step uthaya aur us ne bhi appeal krdi.
aur yu hmara case dj k pas chala gya...case chalta raha mgr khatir khaa natija nhi nikla..
in the end DJ court ne ye case utha kr December 2019 ko Model court jahan fori fesly hoty hyn wahan forward krdiya..
model court ne hm dono k alag alag case ki samaat ki aur usne remand back k order jari keay.
is tra hm wapis senior civi judge ki court me pesh ho gaey.
remand back me any k baad ab hum dono ko is court ne affidavit of Evidence file krne ko kaha.
hm dono ne apny apny affidavit file krdeay.
LEKIN AB ME CHAHTA HUN KAY
mere affidavit me kuch cheezy clear nhi hyn aur kuch me thora sa mera byan ghalt hai .. me chahta hun k usme amendment krun aur kuch cheezy jo wazahat talab hyn unko wazeh krun...
kya ye mumkin hai ??? iska kya process hai ?? please guide me