Troubling neighbour
Hi, there
My name is manish, actually i m having little trouble with a neighbour,
Actually mere ghar ke sath main ek ghar hai jisme 2 family rent par rehte hai, 1 ground floor par aur, 1 second floor par, second floor par jo family rehti hai unka toilet hamare ghar ke dewar ke side main hai, problem ye hai ki unke toilet ka jo pipe hai vo leakage hai jiski vajah se jab vo flush karte hai to adha ganda pani unke side girta hai aur adha hamare side jo meri mother ko roj subha saaf karna padta hai, meri mother ne unhe is problem ke baare main bataya par unhone 15,20 din tak kuch nahi kara aur nahi unhone apne landlord ko bataya,, phir ek din meri mother ko gussa aya to unko suna diya, tab jakar unhone apne landlord ko bulaya,, unka landlord jab aya to ese attitude main aya jese sidha hamse ladai karne aya hai,, meri mother ki age 65+ hai and meri family main sirf main aur meri mother rehte hai, jab unka landlord aya to politely problem puchne ki jagah vo meri mother se mere samne gusse main chilla ke bolta hai,(kaha gir raha hai pani dikhao na, kaha gir raha hai) mujhe bhi uski language dekh kar gussa agaya to maine gusse main kaha (ki ab paani daal kar dhikhae apke yaha jo rent par reh rahay hai unhe pata nahi kya) ,, to mujhe kehta hai awaj niche kar,, us time to man kara ki uska mu tod du halaki main tod bhi sakta tha, par mujhe mother ki vajah se chup rehna pada, ek to khud ki galti hai unki, uppar se mere mother se vo badtameezi se baat kar raha tha,, phir jab unke landlord ne pani dalvaya uppar se tab vo thoda shamt hua, mujhe bhi bohot gussa araha tha uspar to main apne gusse ko thanda karne ke liye ghar ke andar chala gaya aur usne apne kiraedaar se bola ise aaj kal main thik kar dena,, par still aaj 4 din hogae hai aur abhi bhi vaha se paani girta hai aur abhi bhi meri mother ko vo saaf karna padta hai,, PLEASE SUGGEST ME, WHAT CAN I DO..... TAHXX