Bade bete ko uska hissa deke alag karna h
Hamlog 5 bhai aur 1 bahan hai. Total 6. hindu family se belong krte h. sabhi ki shadi ho gai h. Ganw me hamara ghar h aur jamin h. ganw me kewal mera bada bhai aur chhota bhai rahta h.haam tin bhai Aur sister ganw se bahut door gujarat aur kolkata me rahte hain. mere papa v kolkata me hi rahte h. meri mammi 2010 me gujar chuki hain. Mere bade bhaiya ganw ki jamin( 10 biswa jo mammi k nam pe hai aur 20biswa jo pustaini hai) total 30biswa pe kabja kar liya hai. mera papa devide karna chahte hain par wo nhi karne de raha hai aur papa k sath mar pit v kiya usne. papa ne local police me shikayat ki lekin police walo ne bhai ko hi support kiya. Fir papa ne sp office me application diya usko v local police ne daba diya. Bhai ne papa ko aaj tak kharche k liye kuch nhi diya h. last me papa ne jamin maalgujari pe (kuch paiso k badle) saal bhar k liye ganw k hi ek byakti ko de diya aur 16 june ko wapas kolkata chale aaye. bhai ne us byakti ko v local police aur gram pradhan ki madad se dhamka diya aur jamin ki jutai kark beej daal diya h.
hamare papa ko jamin pe se bhai ka kabja hatana h aur fir usko pustaini jamin me uska ek hissa dek usse rista khatm karna h. ye sab jald se jald karna chahte hain hamlog.
Kripaya bataye ki legally hamlog kya aur kaise kr sakte hain. kitne samay me hamara kam ho jayega.aur isk liye hamare papa ko kitna bhag daud karna hoga. mere papa 65yrs ke varistha nagrik hain. unk liye jyada bhag daud karna thoda mushkil h. mere papa hi property k first owner hain.