Bonofied need
Respected sir
My name is Jai parkash gupta from delhi
Sir meri ek property h delhi m jo aadhi mere father ke name se h or adhi mere father ki grandmother ke name se ,us property m ek ground floor pr shop h
Usko year 1945 m rent pr diya tha bina pagdi pr
1961 m us Tennant ki death ho gai uski jgh unka son tennant bn gya automatically
Year 1975 me mere father ki grandmother jo property ki adhi landlord thi unki death ho gai uske baad hmare father or hmare chacha g ke beech m us grandmother ki property ko lekr partition ka case court m chl rha tha uske baad hmare father ki death 1999 m ho gai ab unki jgh hm case ldne lge the
Or 2015 m us Tennant ke bete ki bhi death ho gai ab uske bche us dukan pr kaam kr rhe h
May 2016 me delhi highcourt mediation center se hm dono m faisla ho gya or hmne apne chacha ka jo hissa bn rha tha vo khreed liya
Ab m kiraydaar se vo shop khali krana chahta hu meri need ki vjh se
Bcoz ab m us property m 100% ka maalik ho chuka hu.Kiraydaar ke pass aas pass me hii kaafi or jgh bhi h kaam krne ke liye to m ab kis trh apni vo shop khali kra skta hu uske liye mujhe kya krna chaiye or kitna samay ka intzr krna chaiye khali krane ke liye kyunki mujhe aise maalom pda h ki hm 5 saalo tk shop khali nhi kra skte h kyunki hmne is undivided property ka kuch hissa 2016 m khreeda h
Lkin hm is property ke maalik 62% phle se the or 38% hmne khreeda h
To kya m isse abhi khali krane ke liye case kr skta hu yaa 5 saal wait krna pdega?