Wifinitive corporation fraud company
Wifinitive corporation data entry work se call aya tha unhone bola ki apko forms diye jyenge usme se km se km 1200/- form apko fill krne honge or unki accuracy level 91.26% honi chahiye. Agr accuracy itni nahi hui to apko penalty bharna hoga. Fir unhone rules and regulations samajhaye fir unhone id k liye adhar card manga to mene email me attach krk diya. Fir vo turant mere email pe agreement ki soft copy bhejte h or bole ki iski hardcopy apke address me pahuch jyegi kuch din me jisme term's & Condition likhe the fir agreement bhejne ke bad vo OTP ke jariye confirmation mangte h fir uske bad unka process khtam hota h fir call verification ata h jisme fir se rules and regulations samjhya gya..jab mene es company ke bare me search kiya to ye fraud company nikali. Net me bhi fraud company dikha ra h esko ki kaam krwa ke paise ni deti h.fir mai us executive person ko call kiya jisne muje call kiya ths es job k liye or bola ki ye agreement muje cancel krna h muje job ni krna h. To vo boli ki thik h mai cancellation process me daal deti hu. Jab cancel ho jyega to call kr dungi apko...fir kuch din bad mail me muje user id or password aya to fir mai dubara call ki to vo boli ki abhi b cancellation process me h..jaise hi cancel hoga to call back kr dungi lekin unhone call back kiya hi ni or mai call krti to uthate hi ni the...fir maine ignore kr diya..fir kuch din phle muje unke legal advisor ka call aya ki apne work ni kiya h to apko penalty deni hogi..maine unhe sab bat bola ki cancel k liye bol diya tha..or us executive person ko call krne lgi to uska no. Out of service ho gya tha..or uske legal advisor muje court ki dhamki dene lage agr apne penalty ni bhari to..or unhone mail bheja muje ki apko pay krna karna agr ni kiya to 150000/- tak ka bear krna padega apko..or text msg b kiya ki apki case legal id 3000638 hai or proceeding pe h jada details k liye es [deleted] jo ki vijay kumar ka h unke legal advisor ka..vo bolte h ki otp k jariye apne agreement sign kiya h call verification kiya h..or work cancel krte ho to b penalty bharna padega jabki aisi koi b jankari us time muje ni di gyi thi ki work cancel krne k pe bhi penalty dena hoga. Mai kya kru?? Kya otp se agreement sign hota h??jbki es agreement ki hardcopy ko vapis bhejwa di thi jab aya tha mere pas to. Muje kya karna chahiye?? Vo pura Fraud Company h?? Koi b legal advisor aise dhamki ni deta h? Please muje kya krna chahiye?? Aur kya vo company kuch b legal kaam kr sakti h mere khilaf??