Makan par mera haq hai ya nahi ?

Mere pita ne do shadi ki thi.mai aur mera Chota bhai pehli ma se hai.baad me mere pita ne meri ma ko talak dekar doosri shadiki.doosri ma se pehle ek beti hai fir ek beta.pahli ma se main sabse bada hoin fir mera Chota bhai hai.doosri ma se ek beti fir baad me sabse Chota bhai hai. Mere pita ne ek bada makan banwaya hai, jo ki meri doosri ma ke naam hai.mere pita ki maut ho chuki hai.kisi wazah se mai pariwar se alag hoin aur mera Chota bhai bhi alag hai. Pita ki maut ke baad se hum Dono bhai ghar se alag rahe hai. Sauteli bahen ki shadi ho chuki hai jiame hum Dono bhaeyoin ka koi yogdan nahi tha. Hamari ma ne pita ka banwaya makan bech diya hai jiske baarein me hame baad me maloom hua. Makan bechte samay hum Dono bhaeyoin se kuch nahi bataya Gaya. Makan bechkaer bahen ki shadi hue aur ek Chota makan kharida Gaya hai. Us makan ko doosri ma ke chote bete ne apne naam par karwa liya hai. Mera sawal hai.. 1)-Kya es doosre makan par hum Dono bhaeyoin(jo pahli ma se hai) ka haq hai ? 2)-Kya pahle makan ko bechte samay ma ko hum Dono bhaeyoin(jo pahli ma se hai) se poochna chahiye tha ?