• False allegation and want to null our marriage

sir
meri shadi 2 feb 14 ko hui hai. mere husband ne false allegations lagaker section 12 marriage null case file ker diya hai. mai unke saat rhne nh ayi physical relation nh banaye ar jabardasti shadi karai ha ar mai shadi se phle livein relationship me thi. mai apne sasural walo ke behavior se pareshan hokar bina kisi ko bataye ghar chor ke chali gyi thi .meri mother ne mre missing then kidnap ki f I r kara di thi lekin uski final report lag gyi hai.mai mentally pareshan hokar gyi hu. mjhe samj nh ata wat to do?? mai apne husband ke ghar lucknow hu ar wo ghar se bhaag gye h baat krne per bolte hai court me milna aur mjhe apne ghar se niklwane ke liye ek ar suit family court me daal diya.plz suggest wat to do ??marriage null hone ka kya criteria h ar mai kya legal action le sakte hu .un logo ne bus shadi paise ke liye ki thi ab wo shadi null krna chahte h mai ek government employe hu agr in future mai apne husband se divorce chahu to mjhe maintenance milega ar mai apni shadi me diye sab gifts kase wapas lu?? Mre husband b govt job me hai unki salary mjsse double hai.
Asked 10 years ago in Family Law
Religion: Hindu

2 answers received in 30 minutes.

Lawyers are available now to answer your questions.

8 Answers

1) aap ko section 12 HMA case fight karna padega . aap ek vakil se contact karen

2) jo case aap ke sasural walon ne daala hai woh dekhkar ki jawab banya jasakhta hai .

3) aap DV case file kardo aapne pati aur in laws he against . us case me aapne pati ke ghar par rehne kaa haak mangna

4) aap 498A case bhi file kar sakhte ho . apna streedhan wapas lene ke liye

5) aapko maintenance nahi milega kyunki aap kaam karte ho

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
96866 Answers
7814 Consultations

1. Ap apme hausband ke case mein apper kijiye aur usko fight kijiye.

2. Ohi same case mein aap divorce bhi maang kar sakti hai.

3. Agar aap kpi dusra state menin rehti hai to aap case transfer bhi karwa sakti hai.

4. maintenance ke liye aapko alag se case karna hoga.

5. Koi najdiki lawyer se milein.

Devajyoti Barman
Advocate, Kolkata
23206 Answers
513 Consultations

Apko apne pati aur sasural walo ke against harassment and domestic violence ka case karna padega. police mei complaint file karni hogi.

apke husband ne jo case file kia hai, usko dekhe beggar ye nai kaha ja sakta ki kiss grounds pe court apki shaadi ko null kar sakti hai. court mei lagatar appear karte rahiye.

agar aap case file karti hai to apko maintenance nai milegi kyunki aap khud ek government employee hai. lekin agar usmei apka kaam nai chal sakta to aap court se gujarish kar sakti hai.

jo apka shaadi mei kharch hua hai aur jo streedhan hai apka, wo wapis lene ke lie apko section 498a ke tehat case file karna hoga jismei aap apna saaman wapis maang sakte ho.

Shaveta Sanghi
Advocate, Chandigarh
914 Answers
111 Consultations

1. Aap apney husband dwara file kiye gaye anulment ke case ko contest kijiye. Agar court ne unke favour me judgment de di to aapka maintenance mangney ka right khatam ho jayega.

2. Aap domestic violence ka case bhi file kar sakti hain apney pati ke against aur us case mein apney pati ke ghar rehney ka right mang sakti hain.

3. Aap maintenance ke liye bhi case file kar sakti hain.

4. Agar aapka dahej utpidn hua hai to dahej utipdan ke liye 498A ka case kar sakti hain. Iske saath aap apna istridhan bhi wapis mang sakti hain.

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30763 Answers
972 Consultations

1. Apka against me Sec.12 ka case darz kiya gaya. Us petition me kya klikha hae begal dekhe kuch advice korna mushkil hae,

2. Ap ek local Vakil se contact korneka bad us petition ko conest kijie,

3. Ap DV Act ka mutabek case file kar sekte aur sasural me rahneka hak mang sekte,

4. Ap ulta sec 498A of IPC ke mutabik police me complaint kar sekte jiske liye apka husband aur sasuralwale ko Anticipatory Bail lena parega.

Krishna Kishore Ganguly
Advocate, Kolkata
27453 Answers
726 Consultations

Aap DV Act me pati aur sasural walon ke against case file karke streedhan,muwabja aur right to reside ya rent le sakti hain.FIR bhi kar sakti hain streedhan aur torture ke liye. Jo bhi case pati ne file kiya hai usko examine karke jawab file karwao kisi vakil se aur strongly fight karo.

S.P. Srivastava
Advocate, New Delhi
703 Answers
13 Consultations

Aapke husband ne jo case section 12 Hindu Marriage Act me dakhil kiya hua hai usme court me jaeye aur fight kare. Kis base per usne case file kiya hai ye dekhna bhut jaruri hai to aap apne yahan kisi advocate se mile.

Agar aapke husband ki salry aapse dugni hai to aapko status ke base pr maintenance mil sakta hai.

Apne dahej ke saman aur gift ko lene ke liye aap criminal case under section 406 ipc daal sakte hai aur civil auit for recovery bhi daal sakti hain.

Nadeem Qureshi
Advocate, New Delhi
6307 Answers
302 Consultations

Can you please send the matter in english

A. Maria Stephen
Advocate, Kanyakumari
17 Answers

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer