• Marriage through Arya Samaj Mandir

Dear Sir,
we are arranging marriage through Arya Samaj Mandir on 1-5-2014, sab kuch sahi chal raha tha. Ladka govt. firm me naukari karta hai. shanivar itwar me chutti me bareilly aata tha aur ladki ko lekar ghumne nikal jata tha aur apne mummi papa ke paas le jata tha. sab kuch thik chal raha tha, roz ladke aur ladki ke beech baate hoti thi shaadi me marta 4 din bach the ki achanak ladke wale ka phone aaya ki abhi ladke ko shaadi ke baare me 2 mahine ka samay chahiye hamne pucha ki uncle aap ekdam shaadi ke teen din pahle kah rahe hai ki aisa kaise hoga humne to apne samaz me saara bata diya hai ki 1 may ko shaadi hai hum kya karenge. to unhone apna phone kaat diya. please ab humain bataiye ki hum kya kar sakte hai. arya samaz mandir ki saari paper formalities poori hai affidavit bhi hai hamare paas. ladka divorsee hai.

kya hum maan haani ka case file kar skte hai
kya hum mantaly harrasment ka case kar sakte hai
Asked 10 years ago in Family Law
Religion: Hindu

Ask a question and receive multiple answers in one hour.

Lawyers are available now to answer your questions.

3 Answers

nahi koi case file nahi karna . wait karo . ladka ne do mahine ka time manga hai na .

aapne ladke koi koi gift deeya hai kya ? kuch kharcha kara hai ? engagement ke waqt agar aap ne uske rsihteddar ko gifts deeya hai tau aap wapas mang sakhte hain .

case file karne se mamla bigad jayega . pata lagao ladke ka divorce kyun hua tha ? uski pehli biwi se jankari nikalo .

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
97483 Answers
7880 Consultations

abhi case karne jaroorat nahi hai,sari bath samj kar iske baare mai sooochna

Rajeev Bari
Advocate, New Delhi
1506 Answers
92 Consultations

Abhi koi bhi case file mat karo. Ladkey ne do mahiney ka samay manga hai. Usey yeh samay de do. Agar do mahiney ke baad bhi wo shaadi ke liye nahin haan karta to aap case file karney ke barey mein soch saktey hain.

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30804 Answers
974 Consultations

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer