• Separation

December mei 3yrs ho jayengey marriage ke... Jab shaadi hui thi Toh mother in law dowry ke liye sunati thi ki car nai di cash nai diya Fir jab pregnant hui Toh mere ko travel Karne mei problem hoti thi Toh mother in law husband ko pata nai Kya kehti thi wo mere se khoob fight karte they Yaha takk yeh keh dia ki mujhse shaadi karke Unki life kharab ho gai... Jaise karke Delhi pahuche travel karke mere saath complications ho gaye 2 months admit rahi hospital ab Toh husband Bahut sunatE hai tumne Toh maarne Wala park Milna Chahiye Alag room mei sota hai reason yeh hai ki baby late SotI hai physical intimacy b nai hai yeh takk kehtA hai agar tym Meri employee hoti Toh tumhe fire kar chuka hota mera confidence khatam kar diya hai Roz fight Mai depression mei ja chuki hu bas mujhe an Yehi lagta hai ki Mai hi galat hu... Pls guide me mujhe saath nai Rehna Uske Bahut ladai karta hai mentally Mai Bahut pareshan hu... Pls guide me..
Asked 6 years ago in Family Law
Religion: Hindu

2 answers received in 10 minutes.

Lawyers are available now to answer your questions.

14 Answers

Aap mental cruelty ke ground pe divorce file kar sakte hai.

Aur isike sath aap 498a aur domestic violence ki bhk case dal sakte hai.

Abhilasha Wanmali
Advocate, Nagpur
1021 Answers
1 Consultation

Hello,

Aap unke khilad section 498A k andar unke khilaf aur unke pariwar ke khilaf FIR kar sakti hain.

Aur inhi ground pe Divorce bhi le sakti hain iske alawa aap maintainance ka bhi mukadma bhi kar sakti hain.

Regards

Anilesh Tewari
Advocate, New Delhi
18090 Answers
377 Consultations

hello

aap ki shaadi ko 3 saal ho gaye hain. magar itna kuch saha hai aapne. aapko jaipur waaps aakr apne parents ke saath rehna chahiye and yahan par uske against complaint file karni chahiye. usne aapko bohat exploit kiya hai aur usko aapse koi matlab nahin hai.

regards

Rahul Mishra
Advocate, Lucknow
14107 Answers
65 Consultations

File for divorce on grounds of mental cruelty

2) husband harassing wife for dowry amount to mental cruelty

3) husband abusing wife amounts to mental cruelty

4) also file dowry harassment case against husband and inlaws

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
97288 Answers
7856 Consultations

1. Apko hi decide karna hai ki ap keya umid karte hai is relationship se aour abh kya chati hai?

2. Agar ap sure hai ki dono eksath rah nahi payenge to divorce ke liye sochiye.

3. Agar divorce chahti hai to ap ka husband aou sash ki sab conversation audio/video record karna suru kijiye secretely.

4. Kaphi evidence jama ho janeka bad, ghar chorke maike jaiye aur uske bad sasural wala police station me dowry harassment complaint kijiye u/s498A of IPC apka hauband our sash ka against.

5. Fir ek DV case file kijiye apka maike me against your husband and sash. Ap maintenance application file kor sekti for you and your child.

6. Ek local Wakil se samparkh kijiye to dal with your matter.

Krishna Kishore Ganguly
Advocate, Kolkata
27501 Answers
726 Consultations

तलाक की अर्जी देने के बाद कई महिनों तक का इंतजार नहीं करना पड़ेगा। संशोधित विधेयक के अनुसार पत्नी 'वैवाहिक संबंध पूरी तरह से टूटने' के आधार पर दायर किए गए तलाक के दावे को चुनौती दे सकती है लेकिन पति के पास ये अधिकार नहीं होगा।

तो आईए मैरिज एक्‍ट में सुधार की कुछ प्रमुख बिन्‍दुओं पर नजर डाल लेते हैं। तलाक के लिए जरूरी शर्तों में एक नई शर्त शामिल की गई है। अगर शादी की ऐसी हालत हो गई है, जिसमें सुधार की कोई गुंजाइश न बची हो, तो इस शर्त के तहत अगर पत्नी तलाक की अर्जी देती है, तो पति विरोध दर्ज नहीं करा सकता। लेकिन अगर पति की अर्जी है और पत्नी ने विरोध दर्ज करा दिया है, तो कोर्ट उस पर विचार करेगा। वहीं तलाक तो जल्दी मिलेगा, लेकिन अब तलाक के बाद पत्नी का हक आपकी उस संपत्ति पर भी होगा, जो आपने शादी के बाद जुटाई है। पत्नी को कितनी संपत्ति मिलेगी, इसका फैसला कोर्ट करेगा। इतना ही नहीं अगर तलाक होता है, तो गोद लिये बच्चे के भी अधिकार भी ठीक वैसे ही होंगे, जैसे अपने पैदा होने वाले बच्चों के होते हैं।

पति की संपत्ति में अधिकार देने के अलावा विवाह कानून (संशोधन) विधेयक 2010 का उद्देश्य गोद लिये हुए बच्चों को भी मां-बाप से जन्मे बच्चों के समान अधिकार दिलाना है। मालूम हो कि इससे पूर्व दो साल पहले राज्यसभा में यह विधेयक पेश किया गया था। फिर इसे कानून एवं कार्मिक संबंधी संसद की स्थायी समिति के पास भेजा गया।

स्थायी समिति की सिफारिशों के आधार पर विधेयक का मसौदा फिर से तैयार किया गया और कैबिनेट द्वारा मंजूर यह विधेयक पति पत्नी का तलाक होने की स्थिति में गोद लिये बच्चों को भी मां-बाप से जन्मे बच्चों के समान अधिकार का प्रावधान करता है। सरकार ने संसदीय समिति की इस सिफारिश को भी हालांकि मान लिया है कि तलाक की स्थिति में पत्नी का पति की संपत्ति में अधिकार होगा, लेकिन कितना हिस्सा मिलेगा, यह मामले दर मामले आधार पर अदालतें तय करेंगी।

Ganesh Kadam
Advocate, Pune
12995 Answers
263 Consultations

aap apne husband and family than fir loged police station under section 498a, 406,323,120b IPC and second remady are section 12 dv act me compliment filling the court and mentience ke leye 125 crpc ki petition filling in the court family court

Giriraj Prasad Bairwa
Advocate, Jaipur
23 Answers

Dear Client,

If this is the situation you must move out of this marriage and start your life afresh. It is not the end of the road. For any assistance you may contact me,

Adv Vikas Khatri

Vikas Khatri
Advocate, Delhi
178 Answers

Madam domestic violence ka case file karyia mental cruelty per , apne lia or baby ka lia maintenance crpc 125 mai or further maintenance and residence DV act mai.

Ap cruelty ka ground per divorce file kar skta hai agar settlement krka mutual ka lia ready hote hai to thk hai nahe aap section 13 mai cruelty ka ground per family court mai divorce petition kar skta hai.

Shubham Jhajharia
Advocate, Ahmedabad
25514 Answers
179 Consultations

itna jaldi haar mat maane, aap apne khandan ke bade aur husband ke khandan ke bade logo ko bithaa kar baat kariye.

shadi koi mazak nahi hai husband ko samjhaye ke agar aap legal action lenge to unko pareshani hogi aur aap dono ki jo baby hai uski life karaab hojayegi.

jaldbazi mein koi faislaa mat le .

agar aap ke khandan ke log is matter ko settle karde to theek hai warna,

aap apne area ke court ko jaaye waha aap dono ki counseling ki jayegi.

You can approach the mediation centre In court of your local jurisdiction.

Mohammed Mujeeb
Advocate, Hyderabad
19326 Answers
32 Consultations

Dear concerned

Aapka Husband aapki isliye nahi sunta kyuki woh Baki San ki sunta hai . Aapki samaya Ko lekar har koi aapko divorce Kar do FIR / complaint file Kar do ki Salah dega.

Lekin please ye soche ki aapka ek choti baccha hai ajab, single parent ki tarah bacche ko palna bhut mushkil hota hai. Isiliye aap thoda sa Apne schedule Ko change karo

Apne pati se closeness badhao, JO kal raat tak hua San bhool jao, Aaj subah se Naya jivan shuru Karo yeh soch lo ki aapko apna jivan pyar se isi aadmi ke saath gujarna hai. Love him Lust Him just make him to sleep with you Trust aapki life main kuch gadbad nahi hai . Kyuki aapka Husband aapse door hota ja Raha hai isiliye ye problems hai.

Divorce file karna easy hai lekin bhut Lamba aur painful process hai ..... Apne husband Ko apna banane ki koshish kare kisi bhi tarah .......

Best of luck

Atulay Nehra
Advocate, Noida
1311 Answers
58 Consultations

Dear client

Aap dowry demand and regular mental torture ke ground par divorce ya judicial separation le sakti ho. Wife has a right to deny physical intimacy after delivery as not unsafe for her condition.

Maintainnace claim kar sakti ho, rent claim kar sakti ho for separate accomodation.mental torture ke khilaaf Police complain kar sakti ho.

Yogendra Singh Rajawat
Advocate, Jaipur
23006 Answers
31 Consultations

If you cannot tolerate the tortures and cruelties done against you, it would be better that you:

1. file a domestic violence case against your husband and mother in law.

2. dowry harassment complaint against them before the local police station.

3. divorce case on the grounds of cruelty.

4. Maintenance claim under section 24 in the divorce case and under section 125 cr,.p.c.

T Kalaiselvan
Advocate, Vellore
87490 Answers
2348 Consultations

Dear,

Indian kannon to vaise hi mhilao ko kafi sath deta h.

koi bhi accha sa 1 local advocate appoint kro, vo aapke liye talak k

paper bhi ready kr dega or aapko guide bhi krega.

Is doran aapko or aapke bcche ko maintenance bhi milega.

or aap apni shadi m hua sara khrcha bhi maangne ka rite rkhti h.

Tarun Agarwal
Advocate, Jaipur
769 Answers
3 Consultations

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer