• Zameen per kaise kabzaa chudwaya jaye

Sir,
Meri jameen..Jo ki mere Dada k naam h us PR unke Bhai ne kabjaa kiya hua h...mere pass jameen k koi kagaj nhi h....sirf house tax ki receipt h..  
Aap mujhe btaye ki m makaan k kagaj kisi tarah court se nikal sakta hu.....
Asked 10 years ago in Property Law

Ask a question and receive multiple answers in one hour.

Lawyers are available now to answer your questions.

6 Answers

1, MAKAAN KA KAGAJ LOCAL rEGISTRAY OFFICE SE NIKAL TA HAI.

2. AAP kagaaj chhorke bhi case file case sakte hai.

3. Iske liye aapko local lawyer se partition case aur casefor separate possession file karna hoga.

Devajyoti Barman
Advocate, Kolkata
23333 Answers
522 Consultations

1) aap vakil ke duwara legal notice issue kar wasakhte ho apne bahi ko apan share mangne ke liye

2) parttiiton suit file karen apne haak ke liye

3) certifed copy of makan papers aapko sub registry office se mil jayegi

Ajay Sethi
Advocate, Mumbai
97518 Answers
7884 Consultations

1. Makaan ki registery ko aap registrar ke office se prapt kar sakte hain.

2. Ek baar registry mil jaye phir aap local court mein partition ka suit file karein.

3. Ye zaruri nahin hai ki aap case file karney se pehley apney grand father ke bhai ko legal notice bhejein.

Ashish Davessar
Advocate, Jaipur
30813 Answers
974 Consultations

1. Apko kaise pata hai ki uh property apka Dadaji ka hai? Dadaji ka pita ka nahi hai?

2. Apko sabut chahiye dikhane ke liye ki zamin apka Dadaji ka hai,

3. Ap local Vakil se samparkh kijiye aur property ka document nikaliye local Registry office se,

4. Agar eh pata chale ki uh property apka Dadaji ka hai to Eviction Suit file kijiye.

Krishna Kishore Ganguly
Advocate, Kolkata
27512 Answers
726 Consultations

Hi

1. property ka duplicate deed keliye Sub-Registrar office me apply karna hai.

2. Civil court me eviction suit file kijiye

3. Agar zameen dadaji ke naam pe nahi uski father or grandfather se mila hai to partition suit file karna hai.

4. Yeh done kam ek vakil ki madad se karna hai. Advocate ksrvsyiiye or the zamin ka papers nikalne keliye steps kijiyega .kagazath dekhne ke bad vakil badayega kya case file karna hai.

Thresiamma G. Mathew
Advocate, Mumbai
1645 Answers
212 Consultations

khali jameen hai ki makan hai.. isko to clear kariye. agar makan hai to ye :- dada ka banaya makan hai yah sabit ho jayega kyoki pados ke log batayenge ki aapke bhai ne uspar koi construction nahi karaya hai. jab makaan dada ne banaya hai aur aap unke waris hain to kagaj ki koun jaroorat hai. jab dada banaye the to kisi ne uska objection nahi kiya iska matlab wo dada ka jameen tha jispar makan bana hai. kutumb ragister banwa lejiye aur waris ka certificate banwa lejiye..uske baad court mein case file kariye ki aapke bhai ka makan par utna he kabja diya jaye jitna unka adhikar hai aur baki ko anya beto mein baant dejiye. house tax se malikana haq sabit nahi kiya jata. registry department se kagaj niklwa lejiya lekin iske pahle lekhpal se mil kar uske khatauni le lejiye maloomho jayega ki koi parivartan to nahi kiya gaya hai.

Shivendra Pratap Singh
Advocate, Lucknow
5127 Answers
78 Consultations

Ask a Lawyer

Get legal answers from lawyers in 1 hour. It's quick, easy, and anonymous!
  Ask a lawyer